Learn Python (Urdu/Hindi) in Covid-19 Outbreak to Stay Productive

Hi, Mera naam Faisal hai, aur main Python kay is course main app ka teacher hoon.Is course main app ko wo tamam cheezain sikhaon ga jo app ko Python main programming kay liyay must hain.




Python aik buhut mashhoor programming language hai, aur har din log isy advance works kay liyay istemal kartay hain jaisa ky automation, AI main is language ka istamal buhut aam hogya hai (Artificial Intelligence), is kay sath sath websites jaisa ky Instagram aur Dropbox bhi isi ki mehrbani hai. So agr app aik job ki talaash main hain to "Python is for you"

Is course main, main app ko hr wo cheez baton ga jo app ko is language ka expert banany main help karay gi. Hum is course main Python kay basic concept sy advance lavel tk hr core concept seekhain gay, aur phir hum Python kay 3 Projects ko akhaty tayar karain gay.

Yeh hai Pehla project jo hum tayar karein gay ,yeh aik Grocerry Store ki website hai..
 Yahan Homepage par app sary items dekh sakty hain..! 


Hamary pas Stock ko manage karnay kay liyay Admin Area bhi mojood hai..!!


Hum is ko aik popular Python framework ki madad sy tayaar karay gai (Django).





Ab agr app nay pehly kabhi website nahi banai hai to, preshan na hoon, Main app ko basics say sabh kuch sikhaon ga.App Python ka machine learning ya artificial intelligence main wide use bhi study karein gay,
Image Source: interestingengineering.com


So app aik aesa Python program build karsakain gai jo kay app ko user ki Profile study karkay is baat ki paish goi kar day  ga kay un ko konsi cheez pasand hai..?? Jo kay Advertising aur Marketing main aik kamal ka weapon ho sakta hai.
Jaisay YouTube ap ki watch history ko learn karny kay bad app kay interest ko pehchan jati hai...
Main app ko Python kay zariyay sy aesay boring kaam ko automate karky dikhaon ga jo app ko bilkul bhi pasand nahi jaesay kay app aik aesa Python program write karskain gay jo thousands spreadsheets second main built karday ga.


 Main nay yeh Python course un logoon kay liyay banaya hai jo kay isay sach main seekhna chahty hai aur apnay career ki growth rate ko higher level par lay kar jana chahtay hain. Agr app aik beginner bhi hai tb bhi Preshan na hoon Main is complete course main app ka haath thamay hoay app ko Python Expert banay kay laiya struggle karoon ga.

App buhut zayada old hain ya buhut young hain Python buhuut easy Language hai. App apna pehla Python programm seconds main Write karsakty hain. Is kay sath main app ko cool Python programs likhnay kay liya kuch Exercises doon ga jis ki help say app Confidence Build karsakain gai.



Mera naam Faisal hai aur Mian aik software engineer hoon, Five years kay experience kay sath main abhi tk 18 hazaar say zaid Students ko (On-YouTube) coding sikha chuka hoon. Main app ko is Python course main Coding sikhanay kay liaya super excited hoon. Isi tarhaan main bhi yahi umeed karta hoon kay app bhi is beautiful powerful programming language ki learning main muhlas rahain gay aur akkhir tak strict rahain gay...!!



Course ka first part Friday ko aye ga is liya KyaAurKaisay Ko Bookmark karlain..!!



Nobody is perfect. Nobody knows everything. And nobody possesses the perfect blueprint. We all stumble around from time to time.
So pick up the courage to get started.
And keep moving forward.
You can do it.
SaM

Post a Comment

Previous Post Next Post